Urdu-Hindi Shayari

Ranked #38,664 in Culture & Society, #858,976 overall

Saahir Ludhyanvi

Zindagi bhar gham judaai ka mujhe tadpaayega
Har naya mausam puraani yaad lekar aayega

He wahi raahen wahi gliyaan magar sunsaan hai
Tuu nahi to dil ki saari bastiyan veeran hai
Dil main hai jo gham tera wo jaan lekar jaayega
Har naya mausam puraani.....

Ho mubarak tujh ko khushiyan or mujhe ruswaaiyan
Tujh ko tera ghar mubarak or mujhe tanhaaiyan
Marte-marte bhi teraa hi naam lab pe aayega
Har naya mausam puraani.....

Zindagi bhar gham judaai ka mujhe tadpaayega
Har naya mausam puraani yaad lekar aayega

=============================================================================

Tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagi se ham
Thukaraa naa deN jahaaN ko kahin be-dili se ham

Maayuusi-e-ma'al-e-mohabbat naa puuchhiye
Apanon se pesh aaye hain begaanagi se ham

Lo aaj hamane tod diyaa rishtaa-e-ummeed
Lo ab kabhi gilaa naa karenge kisi se ham

Ubharenge ek baar abhi dil ke val-vale
Go dab gaye hain baar-e-Gam-e-zindagi se ham

Gar zindagi men mil-gaye phir ittafaaq se
Puuchhenge apanaa haal teri bebasi se ham

Ham Gam-zadaa hain laaye kahaaN se Khushi ke geet
Denge wahi jo paayenge is zindagi se ham

=============================================================================

Bharam teri vafaaoN kaa mitaa dete to kyaa hotaa
Tere chehare se ham pardaa uthaa dete to kyaa hotaa

Muhabbat bhi tijaarat ho gayii hai is zamaane meN
Agar ye raaz duniyaa ko bataa dete to kyaa hotaa

Teri ummiid par jeene se haasil kuch nahin lekin
Agar yunhi na dil ko aasaraa dete to kyaa hotaa

=============================================================================

Bujhaa diye haiN Khud apne haathoN mohabbatoN ke diye jalaake
Meri vafaa ne ujaarh di hai ummid ki bastiyaan basaa ke

Tujhe bhulaa deNge apne dil se ye faisalaa to kiyaa hai lekin
Na dil ko maaluum hai na hamko jiyeNge kaise tujhe bhulaa ke

Kabhi mileNge jo raaste meN to muhN phiraakar palat padeNge
KahiN suneNge jo naam teraa to chup raheNge nazar jhukaa ke

Na sochne par bhi suujhta hai ke zindagaani meN kyaa rahegaa
Teri tamannaa ko dafn karke tere KhayaaloN se duur jaake

Bujhaa diye haiN Khud apne haathoN mohabbatoN ke diye jalaake
Meri vafaa ne ujaarh di hai ummid ki bastiyaaN basaa ke

=============================================================================

Hawas naseeb nazar ko kahin qaraar nahin
Main muntazir houn, magar teraa intezaar nahin

Hamin se rang-e-gulistaaN, hamin se rang-e-bahaar
Hamin ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin

Abhi na chhedh muhabbat ke geet ey mutrib
Abhi hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahin

Tumhaare ahd-e-vafaa ko main ahd kyaa samjhoun
Mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahiIn

Gurez kaa nahin qaail hayaat se, lekin
Jo sach kahoun to mujhe maut naagavaar nahin

=============================================================================

Muhabbat tark ki main ne garebaan si liyaa main ne
Zamaane ab to Khush ho zahar ye bhi pi liyaa main ne

Abhi zindah hun lekin sochataa rahtaa huun Khalwat mein
Ke ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liyaa main ne

Unhein apnaa nahin saktaa magar itnaa bhi kyaa kam hai
Ke kuchh muddat haseen khwabon mein kho kar jee liyaa main ne

Bas ab to daaman-e-dil chhorh do bekaar ummido
Bahut dukh sah liyaa main ne bahut din jee liyaa main ne

Aamir Surati

MUBARAK YAS-O-HASRAT ME TUJHE MAHBOOS HO JANA
NISHAT-E-GAM SE AB MUSHKIL NAHI MAANOOS HO JANA

YE TASIR-E-GAME ULFAT NAHIN TO OR PHIR KYA HAI
KE DARD UTHNA MERE DIL ME, UNHEN MAHSOOS HO JANA

MIZAJ-E-AARZOO KI BARHMI KA GAM NAHI MUJH KO
N DEKHA JAYEGA LEKIN TERA MAAYOOS HO JANA

N JAANE KONSI WOH EK SHUAA-E-SHAMM-E-ULFAT THI
TERE DAMAN KO MAJBOORAN PDA FAANOOS HO JANA

KOI BE-AABROO KAR HI NAHI SAKTA MUHABBAT KO
JO HIMMAT HO TO TUM BHI DUSHMAN-E-NAAMOOS HO JANA

SHIKAYAT KYA KARUN "AAMIR" ME APNI NA MURADI KI
UNHEN BHI BAAR GUZREGA MERA MAYOOS HO JANA

=============================================================================

MERI BATON KO DONO NE KISI QABIL NAHI SAMJHA
KISI DIN WO, NAHI SAMJHE, KISI DIN DIL, NAHIN SAMJHA

TERI MEHFIL ME QISMAT SE ME SHAMIL HO GYA LEKIN
TERI MEHFIL NE APNE ME KABHI SHAMIL NAHIN SAMJHA

YE MUMKIN THA TERA RAZ-E-MOHABBAT FAASH HO JATA
BOHOT ACHCHHA HUWA KOI ZUBAN-E-DIL NAHIN SAMJHA

SDAA-E-KAMRANI USKE KANO'N MAIN KAHA'N AAI
SHIKAST-E-DIL KO JIS NE ZEEST KA HASIL NAHI SAMJHA

PADI REHTI HE USKE PAAUN ME MONJON KI ZANJEEREN
ZMANA AAJ TAK MAJBOORI-E-SAHIL NAHI SAMJHA

BHRI MEHFIL ME RUSWA KARDIYA SOZE MOHABBAT KO
AUSUL-E-AASHIQI PARWAN-E-MEHFIL NAHI SAMJHA

MOHABBAT OR TALIB KHOO'N BHAKI AE M'AAZALLAH
MOHABBAT NE KABHI QATIL KO BHI QATIL NAHI SAMJHA

KABHI TOOFAN KI HAR MOJ KO SAHIL SAMAJH BETHE
KABHI YUNBHI HUWA SAHIL KO BHI SAHIL NAHI SAMJHA

JAHA'N TAK DAAD DI JAAE WO KAM HAI IS TAGAFUL KI
SAMAJH KAR BIH WO "AAMIR" MUDDUA-E-DIL NAHI'N SAMJHA

=============================================================================

KHUDA JANE JUNU'N KYUN DEHR ME BADNAAM HAI SAAQI
KHIRAD TO KHUD JUNU'N KA HUSN-E-FEZ-E-AAM HAI SAAQI

YE APNE CHAHNE WALON SE RASMI GUFTAGU KESI
TERI FITRAT ME BHI SHAMIL MZAQ-E-AAM HAI SAAQI

JISE DEKHO WO BETABANA TERI SIMT AATA HAI
TERI NAZRON KA KITNA PURKASHISH PEGAAM HAI SAAQI

GME'N DONRA'N BIL-AAKHIR DHEERE DEERE CHHA GYA SAB PAR
KHIRAD HI KYA JNU'N BHI AAJ ZER-E-DAAM HAI SAAQI

KHAN TAK BADH GAI INSAN KI MAJBOORIYAN TAWBAH
MURAWWAT TAK ZMANE ME'N BRA-E-NAAM HAI SAAQI

AGAR TASKEEN KI SOORAT HAI KUCHH BE-CHEN ROOHO'N KO
TO WO TERA TASAWWUR OR TERA NAAM HAI SAAQI

N WO BEBAAK JAZBE HAI'N N WO BE-LAUS QURBANI
MUHABBAT AB ZARURAT KA JHAN ME NAAM HAI SAAQI

MUHABBAT KI KASOTI PAR N DUNYA KO PRAKH ITNA
MUHABBAT AB JHAN ME IK KHYAL-E-KHAAM HAI SAAQI

N JANE KIS LYE MAYOOS HE WO TERI JANIB SE
JISE KEHTE HEN "AAMIR", JISKA "AAMIR" NAAM HAI SAAQI

Daag Dehelvi

Aarazoo hai vafaa kare koi
Jee na chaahe to kyaa kare koi

Gar marz ho davaa kare koi
Mar'newale kaa kyaa kare koi

Koste he'n jale hue kyaa kyaa
Apane haq me'n duaa kare koi

Un se sab apani apani kahate he'n
Meraa matalab adaa kare koi

Tum saraapaa ho suurat-e-tasvir
Tum se phir baat kyaa kare koi

Jis me'n laakho'n baras ki hoore'n ho
Aisi jannat ko kyaa kare koi

=============================================================================

Dil ko kyaa ho gayaa Khudaa jaane
KyoN hai aisaa udaas kyaa jaane

Keh diyaa main ne haal-e-dil apanaa
Is ko tum jaano yaa Khudaa jaane

Jaanate jaanate hi jaanegaa
Mujh me'n kyaa hai abhi wo kyaa jaane

Tum na paaoge saada dil mujhasaa
Jo tagaaful ko bhi hayaa jaane

Manzar Bhopaali

Judaai ho ke milan, har adaa hamaari he
Tumhara shahar he, lekin fizaa hamaari he

Shikayate'n bhi kare'n ham, to kis zaba'n se kare'n
Khuda banaya he ham ne, Khataa hamaari he

Hamaare jism ki uriyaaniyat pe mat hansna
Ke tum jo odhe hue ho, ridaa hamaari he

Hamare saamane zebaa nahi Gurur tumhe'n
Jahaa'n pe bethe ho tum, vo jaga hamaari he

=============================================================================

Zulf-o-rukh ke saaye meN zindagi guzaari hai
Dhoop bhi hamaarii hai, chhaaNv bhi hamaari hai

Gham gusaar chehroN par, aitbaar mat karnaa
Shahar meN siyaasat ke, dost bhi shikaari hai

MoRh lene waali hai zindagi koi shaayad
Ab ke phir havaaoN meN ek be-qaraari hai

Haal KhooN meN Doobaa hai, kal na jaane kyaa hogaa
Ab ye Khauf-e-mustaqbil, zahan-zahan taari hai

Mere hi buzurgoN ne sar-bulandiyaaN bakhshi
Mere hi qabile par mashq-e-saNg-baari hai

Ik ajib ThaNdak hai, us ke narm lahjey meN
Lafz-lafz shabnam hai, baat-baat pyaari hai

Kuchh to paayegi us ki qurbatoN kaa Khaamiyaazah
Dil ke ho chukey TukRhe, ab saroN ki baari hai

Baap bojh Dhotaa thaa, kyaa jahez de paataa
Is liye wo shehzaadi, aaj tak kuNvaari hai

Kah do Meer-o-Ghalib se, ham bhi she`r kahte haiN
Wo sadi tumhaari thii, ye sadi hamaari hai

Karbalaa nahiN lekin, jhooT aour sadaakat meN
Kal bhi jaNg jaari thi, ab bhi jaNg jaari hai

GaaNv meN muhabbat ki rasm hai abhi "Manzar"
Shahar meN hamaare to, jo bhi hai madaari hai

=============================================================================

Hamaare dil pe jo zakhmoN kaa baab likhaa hai
Usi meN vaqt kaa saaraa hisaab likhaa hai

Kuch aur kaam to ham se na ho sakaa lekin
Tumhaare hijr kaa ek ek azaab likhaa hai

Suluuk nishtaroN jaisaa na keejiye ham se
Hameshaa aap ko ham ne gulaab likhaa hai

Tere vajuud ko mahsuus umr bhar hogaa
Tere laboN pe jo ham ne javaab likhaa hai

Hu'aa fasaad to us meN nahiN kisi kaa qusuur
Havaa-e-shah'r ne mausam Kharaab likhaa hai

Agar yaqiN nahiN to uthaaiye taariKh
Hamaaraa naam basad aab-o-taab likhaa hai

=============================================================================

Dil hai hire ki kaani jism gulaaboN vaalaa
Meraa mahabuub hai dar-asl kitaaboN vaalaa

Husn hai rang hai shokhi hai adaa hai us meN
Ek hi jaam magar kitani sharaaboN vaalaa

Yaar aa_iinaa huaa karate haiN yaaroN ke liye
Teraa cheharaa to abhi tak hai naqaaboN vaalaa

Mujh se hogi nahiN duniyaa ye tijaarat dil ki
MaiN karuuN kyaa hai meraa zahan KhvaaboN vaalaa

Tuu rahegaa na tere zulm raheNge baaqi
Din to aanaa hai kisi roz hisaaboN vaalaa

Husn-e-bebaak se ho jaati haiN aaNkheN roshan
Dil meN ut-raa hai magar ruup hijaaboN vaalaa

Jo nazar aataa hai haasil nahiN hotaa 'Manzar'
Zindagaani kaa safar bhi hai saraaboN vaalaa

=============================================================================

Be amal ko duniyaN maiN rahateN nahiN milti
Dosto duaaoN se jannateN nahiN milti

Is naye zamane ke aadmi adhoore haiN
SurateN to milti hai, seerateN nahi milti

Apne bal pe ladhti hai apni jaNg har pedhee
Naam se buzurgoN ke azmateN nahiN milti

Jo parende aaNdhi ka saamna nahiN karte
Unko aasmanoN ki raf'ateN nahiN milti

Is chaman maiN gul-boote khuun se nahate haiN
Sab ko hi gulaaboN ki qismateN nahiN milti

ShohratoN pe itraa kar, Khud ko jo khudaa samjhe
"MANZAR" ayse logoN ki turbateN nahiN milti

Zafar Gorakhpoori

Jab meri yaad sataaye to mujhe Khat likhanaa
Tum ko jab nind na aaye to mujhe Khat likhanaa

Nile pedoN ki ghani chaaNv meN hansataa saavan
Pyaasi dharti meN samaane ko tarasataa saavan
Raat bhar chhat pe lagaataar barasataa saavan
Dil meN jab aag lagaaye to mujhe Khat likhanaa

Jab phadak uThe kisi shaakh pe pattaa koi
Gud-gudaaye tumheN bitaa huaa lamhaa koi
Jab meri yaad kaa bechain safiinaa koi
Jee ko rah rah ke jalaaye to mujhe Khat likhanaa

Jab nigaahoN ke liye koi nazaaraa na rahe
Chaand chhup jaaye gagan par koi taaraa na rahe
Log ho jaayeN paraaye to mujhe Khat likhanaa

=============================================================================

Mausam ko ishaaroN se bulaa kyuN nahiN lete
Ruuthaa hai agar vo to manaa kyuN nahiN lete

Divaanaa tumhaaraa koi Gair nahiN hai
Machalaa bhi to sine se lagaa kyuN nahiN lete

Khat likh ke kabhi aur kabhi Khat ko jalaakar
Tanhaai ko rangeen banaa kyuN nahiN lete

Tum jaag rahe ho mujh ko achchhaa nahiN lagataa
Chupake se meri neend churaa kyuN nahiN lete

Great Stuff on Amazon

Loading

Reader Feedback

submit

by

satiq

Hello Im Atiq Qadri from India, I write lenses on my free time, I hope you find my lens helpful Happy Squidding!

Feeling creative? Create a Lens!